Who we are? About TTI

About TTI About Tehreek-e-Tahaffuz-e-Iman

Aaj se theek 10 Maah qabal meri Masjid me Isha ki Namaz ke baad kuch nojawan milne aaye, un nojawano’n meinae nojawan Aalim-e-deen jinka naam Allama Umair Madani tha, unhone mujhse firqon ke mutalliq guftugu shuru ki aur aakhir me Zikri Mazhab ke mutalliq tafseeli baaten mujhe bataaien aur phir Zikri Mazhab ke muzir asraat ka mere saamne zikr kiya to mein heran rehgaya ke me to sirf is Mazhab ko chand hazaron par mabni maamuli Mazhab samajhta tha magar inhone to tafseel bayan karke meri aankhen khol di. Zikri Mazhab ke mutalliq sun kar mene inhein apne bharpoor taawun ka yaqeen dilaya.

Doosri Mulaqaat mein mujhe is nojawan ne Baluchistan ke kuch shehron ka dorah karaaya jo Zikri Mazhab se sakht mutaasir ho chuke the. Jab mein ne apni khuli aankhon se baatil aur Murtad Mazhab Zikri ki Kufriyaat dekhin to mein ne is baatil Mazhab ke khilaaf kaam karne ki aur sabse pehle “Zikri Mazhab ka Taaruf” ke naam se 24 safhaaf par mabni kitaabcha tehreer kiya.

risala tehreer Karne ke bad men ne allama Umair madani or Qari ammad sahib se mushawarat ki k ab hamen kia Karna chahye
unhon ne mujhe mashwara dia k sab se pehle hum Mil kar aik aik sunni aalim deen k pas Jain ge or unhen aik risala pish Karen ge or Sath hi zikri mazhab ka mukhtasir taaruf zabani bhi pish Karen ge chunache shehr Karachi se hum ulama aagahi ki muhem shuro ki
Karachi k bad HaiderAbad,phir kharan,Quetta,qalat k ulama ko aagah kia
is k bad Rawalpindi, Islamabad, Sargodha, Lahore,shikhaopora,gojranwala,gujur Khan,ghakhar mandi,Gujrat or phir khairbar pakhtonkhwan sameet mukhtalif shehron k 200 se zaid bare bare ulama ko aagah kia

phir dosra marhala shuro Howa jis me muftiyan kiram se fatawa jaat or ulama kiram ki taeedaat Lina shuro ki
mulk bhar se 30 muftiyan kiram se fatawa jaat or phir un fatawa jaat par 200 se zaid ulama e kiram se taeedaat Lene me hum kamyab ho gai or Sath Sath mulk Pakistan k jayed ulama se hum ne video clips bhi record karwai or zikri mazhab k Rd par aamada kia or us me hamen bari kamyabi bhi Mili

is kitab me tawalat ki wajh se sirf 4 fatawa shamil kiye gai hen
in Sha Allah baqia fatawa jaat ki alg se hum kitab shaie Karen ge

phir hum ne ahbab k samne aik Pilat form se kaam Karne ki tajweez rakhi jise tamam team mimbran ne manzor kia lihaza
2 agusut 2023 ko baqaida tehreek e tahafuf e Iman k Naam se aik mustaqil tanzeem ki bunyad rakhi gai

jis ka bunyadi maqsad ye rakha gia
mujhe Apne or saari dunya k musalmanon k Iman k tahafuf ki Koshish Karni he
(in Sha Allah)
hamara maqsad sirf or sirf tahafuf e Iman he zikri mazhab k logon ko hamari janib se dawat e Iman he wo aaien or Toba Karen kalima parhen or Khush aqeeda musalman ban jain

tehreek tahafuf e Iman ki ulama aagahi muhem fatawa jaat tasdeeqat o taeedaat ka husol or ab tesri bari or ahm kawish is batil mazhab ki bekh Kani k lye aik zakheem kitab bnaam “Zikri mazhab ki haqiqat” AP k hath me hai
ab aap hamare Sath itna taawun zaror kijye ga k is kitab ko Kam az Kam 5 ki tadad me khareed kar Apne ilaqe k ulama or aaima ko tuhfa me pish Karen take is batil mazhab k mutaaliq unhen bhi aagahi ho or un k pas bhi saboot or mawad ho wo bhi hazaron musalmanon ka is kitab k zarye Iman bachain

aakhir me men Apne tamam muawineen ka Dil ki gehraion se shukriya ada karta hon
Allah taala tamam muawineen ko ajar ata farmaye.

by
ahqar Muhammad Shehzad Qadri Turabi
sarparast e aala Tehreek e Tahaffuz e Iman

Allama Shehzad Turabi Qadri
Back to Top
Close Zoom
cant's right click